Closing Ceremony of 2nd National Flora Fauna & Calligraphy Exhibition 2021
2nd national flora fauna and calligraphy online virtual exhibition 2021 ke liye sabhi participants ko bahut bahut badhai deti hun ek mahine ki ye exhibition, kafi Safal Rahi kalakaron mein ek Naya Josh aur Umang tha pure Bharat varsh ke kalakaro is me exhibit Kiya apni Pratibha ko Ho sabhi kalakar 1 platform per aaye bahut sare kalakaron ki kalakriti pasand ki gai hai khaskar ke Jin ke price kam the affordable the painting to sabhi ki bahut pasand ki gai lekin jo logon ke budget mein thi kalakaron ke liye bada Harsh ka vishay hota hai jab unki painting exhibition se sell out hoti hai Khanam Art Gallery ka maksad yahi Raha kalakar ki mehnat ko saraha jaaye achcha platform mele a sabhi Ko sikhane ka mauka mile sikhane ka mauka mile aur ek Sundar vatavaran banai Jo Desh aur samaj ke hit mein ho Kala samaj ka darpan hai hamari Kala mein samaj Ko achchai ki or badalne ki Shakti ho Kala ke madhyam se samaj mein achcha Parivartan aaye
Insaini samaj mein acche vicharon ki utpati Ho samaj ka bhai vichar dhara badhe aur Desh ekjut Ho chhoti chhoti koshish kamyab Ho jaati hai Boond Boond se ghada bhar jata hai hai Khanam Art Gallery ki yah Koshish sadaiv rahegi Sathi mein sabhi kalakaron Ko chahe vah professional ho ya student ho Jihone apni Sundar kalakriti se 2nd National flora fauna and calligraphy exhibition ka man badhaya aur kamyabi hasil ki aap sabhi kalakaron ki Certificate Website par available hai aap use download kar le a aur usse apane sabhi group mein dalen taki Jo log is bar vanchit rah gaye ho age aane Wale samay mein vah bhi hamari shrinkhala ka hissa ho kalakar bade Komal hote Hain unka hirday bahut Sundar hota hai unki vichar shilta unke Canvas per bakhubi dikhti hai jo sabhi ko anandit karti hai hamara anvarat prayas jari rahega Kala ke Kshetra mein sadaiv yogdan deti rahungi 24 salon se nirantar Kala ki seva kar rahi hoon aage bhi Ishwar se prathna hai ki sadaiv kela ke liye jiyo samaj mein ek behtarin Parivartan ke liye jiyo aur ek accha platform hamesha uplabdh rahe kalakaron se kuchh bhi Na liya jaaye sadaiv Deni ki baat Ho Dhanyvad.
Dr Zaheda Khanam
Director of Khanam Art Gallery
National Artist, Prayagraj
The paintings in the exhibition in which buyers showed interest belong to these artists, please contact Dr. Zaheda Khanam via email at zaheda@khanamarts.com
Please click on your Names to download your certificates
Powered By EAGLE7.IN